KHudaa kaa shukr hai yaaro karam husain kaa hai
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت امام حسین علیہ السلام (عراق)
KHudaa kaa shukr hai yaaro karam husain kaa hai
jo surkH-ruu merii duniyaa hai dam-e-husain kaa hai
azal se ibn-e-Gulaam shah-e-najaf huu.n mai.n
isii liye mere ghar me.n alam husain kaa hai
miTaane vaalo na hargiz miTaa sakoge mujhe
mai.n KHush-nasiib huu.n mujh par karam husain kaa hai
mahak rahaa hai jo gulzaar-e-mustafaa ab tak
ye dam husain kaa yaaro karam husain kaa hai
razaa-e-rab me.n liTaayaa hai ghar kaa ghar jis ne
vo jaan banat paiGambar hai dam husain kaa hai
bhulaa sakegaa na hashr jis ko saaraa jahaa.n
vo zaat ibn-e-alii hai vo Gam husain kaa
zahe-nasiib vo paayaa nasiib ham ne 'faraaz'
hamaaraa murshid bar-haq bhram husain kaa hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.