tirii mohabbat ne mujh ko baKHshaa talaash-e-haq kaa shu.uur vaaris

Faraz Warsi
MORE BYFaraz Warsi
Interesting Fact
منقبت درشان حاجی وارث علی شاہ (دیویٰ۔بارہ بنکی)
tirii mohabbat ne mujh ko baKHshaa talaash-e-haq kaa shu.uur vaaris
nahii.n to bad-kaar mujh saa kahiye kahaa.n kaa rahtaa huzuur vaaris
na thaa me.n kuchh vaaqif-e-sharii'at na kufr-o-haq kii tamiiz mujh ko
tirii mohabbat ke sadqe jaa.uu.n ataa kiyaa har shu.uur vaaris
tuu hii bataa mirii jaan mujh ko mai.n kaise dil se bhulaa.uu.n tujh ko
tirii mohabbat me.n dil to dil mirii ruuh bhii hai pur-sukuun-e-vaaris
na KHvaahish-e-KHuld ab hai dil me.n na dair-o-ka.abe kii aarzuu hai
ho meraa sar aur dar tumhaaraa ye hai tamannaa zaruur vaaris
kisii ko huuro.n kii aarzuu hai kisii ko pariyo.n kii justujuu hai
mai.n hashr tak bas tumhii.n ko chaahuu.n hai merii KHvaahish huzuur vaaris
mai.n huu.n nabiira shaah-e-bedam 'faraaz' merii ye aarzuu hai
vo jaam de qabr me.n bhii jis kaa mai.n paauu.n har dam suruur vaaris

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.