shah-e-vaaris se dil apnaa laggaa kar ham bhii dekhe.nge
Interesting Fact
منقبت درشان حاجی وارث علی شاہ (دیویٰ۔بارہ بنکی)
shah-e-vaaris se dil apnaa laggaa kar ham bhii dekhe.nge
dar-e-vaaris pe sar apnaa jhukaa kar ham bhii dekhe.nge
hai.n ye aal-e-nabii aulaad ibn-e-faateh-e-KHaibar
unhii ke ishq me.n duniyaa luTaakar bhi bhī ge
saKHii ibn-e-saKHii se saaqii-e-kausar ke jaanii hai.n
yahaa.n dast-e-talab apnaa uThaa kar ham bhii dekhe.nge
ye vo dar hai jahaa.n jalve nazar aa.e.n KHudaa.ii ke
kisii din rab ne chaahaa ye manaazir ham bhii dekhe.nge
mubaarak shaiKH ko ka.aba barahman ko ho but-KHaana
jahaa.n dono.n ke jalve hai.n vo jaakar ham bhii dekhe.nge
sunaa hai apne har ma.ngte kaa rakhte hai.n bhram vaaris
dar-e-aqdas pe ek din gi.Dgi.Daa kar ham bhii.n dekhe.nge
dam-e-aaKHir bhii jis dar kaa bharaa bedam sariih ne bedam
'faraaz' is dar pe KHidmat aazmaa kar ham bhii dekhe.nge

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.