firdaus me.n un ke diivaane sirf is liye paa.e jaate hai.n

rauze ke hasii.n dilkash naqshe jannat me.n dikhaa.e jaate hai.n
har samt fazaa-e-mahshar par anvaar jo chhaa.e jaate hai.n
paiham ye sadaa.e.n hai.n dil kii sarkaar ab aa.e jaate hai.n
ye mauj-e-talaatum kashtii ko saahil kii taraf KHud laatii hai
ham naam nabii kaa le le kar tuufaan par chhaa.e jaate hai.n
hai nuur-badaamaa.n har zarra hai KHuld-ba-daamaa.n har kaa.nTaa
ab rauza-e-vaalaa ke zaa.er aasaar se paa.e jaate hai.n
pur-nuur hai.n aa.nkhe.n qismat se rauze se ziyaarat se jin kii
firdaus ke jalve nazro.n se kab un ke samaa.e jaate hai.n
ab daaman-e-sha.afe-e-mahshar me.n jannat se ba.Dh kar raahat hai
kyuu.n muzhda-e-baKHshish mahshar me.n sab mujh ko sunaa.e jaate hai.n
ham sajde nazar se karte hai.n haatho.n me.n sunahrii jaalii hai
is aalam ko bas ham hii jaane.n jis kaif me.n paa.e jaate hai.n
ye un kii inaayat ai 'shaidaa' ye un kaa karam allaah allaah
vo apne maskan hii se miraa har kaam banaa.e jaate hai.n

- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 191)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.