jo ruu-e-ahmad ke miim kaa ye uThaa ke mai.n ne hijaab dekhaa

Ghausi Shah
MORE BYGhausi Shah
jo ruu-e-ahmad ke miim kaa ye uThaa ke mai.n ne hijaab dekhaa
nazar na aayaa sivaa ahad ke tamaasha kuchh be-naqaab dekhaa
tumhaar qadmo.n pe yaa mohammad hamaare tan se ye jaan nikle
yahii tamannaa hai dil-jalo.n kii usii me.n dil ko KHaraab dekhaa
tumhaarii furqat me.n yaa mohammad hai.n jaan-o-dil be-qaraar mere
KHabar masiihaa mariiz kii lo ki us ko siina-kabaab dekhaa
naqaab ruKH par se phir uThaa do jamaal-e-aqdas zaraa dikhaa do
ta.Dap rahaa hai ye niim-bismil hai jab se ruu-e-janaab dekhaa
nahii.n hai ab taaqat-e-judaa.ii ba.Dhii hai ab had se be-qaraarii
KHabar lo 'Gausii' kii yaa mohammad ki haal us kaa KHaraab dekhaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.