Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

’azm-e-shaah-e-karbalaa ne vo karishma kar diyaa

Ghayas Aghazi

MORE BYGhayas Aghazi

    Interesting Fact

    نذر شہیدانِ کربلا

    ’azm-e-shaah-e-karbalaa ne vo karishma kar diyaa

    nuur-e-haq se zau-fishaa.n ghar-ghar ujaalaa kar diyaa

    hur chale aa.e ye kah kar KHidmat-e-shabbiir me.n

    aap ke kirdaar ne iimaan taaza kar diyaa

    hazrat-e-sajjaad kii zanjiir kaa elaan hai

    raasta-e-aa.iina ham ne diin-e-haq kaa kar diyaa

    allaah allaah ye adaa-e-bandagii shabbiir kii

    karbalaa ko ek sajde ne mua.allaa kar diyaa

    KHaak-e-paa-e-hazrat-e-shabbiir vo iksiir hai

    mubtalaa-e-maraz-e-Gam ko pal me.n achchhaa kar diyaa

    ye milaa nuurii gharaane se mohabbat kaa sila

    auj par mere muqaddas kaa sitaara kar diyaa

    shaah ke is dastaKHat par jaa.uu.n mai.n qurbaa.n 'Giyaas'

    mujh se adnaa ko Gulaam-e-shaah-e-vaalaa kar diyaa

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 94)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now