Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

madiine ke vaalii habiib-e-KHudaa se

Ghayas Aghazi

madiine ke vaalii habiib-e-KHudaa se

Ghayas Aghazi

MORE BYGhayas Aghazi

    madiine ke vaalii habiib-e-KHudaa se

    karam baT rahaa hai dar-e-mustafaa se

    do 'aalam ke sultaa.n kii rif.at to dekho

    sar-e-'arsh milne chale hai.n KHudaa se

    mujhe bhii 'ataa ho navaaso.n kaa sadqa

    tumhaar hii sarkaar dast-e-'ataa se

    jamaal-e-mohammad hii vo aa.iina hai

    ki raushan hai ye duniyaa jis kii ziyaa se

    mile hashr me.n kaalii kamlii kaa saaya

    yahii aarzuu hai shafii'-ul-varaa se

    mahakte hai.n jo Guncha-o-gul chaman me.n

    mahak sab me.n shaamil hai salli-ala se

    nigaah-e-karam ik 'Giyaas'-e-hazii.n par

    shifaa diijiye apne daarushshifaa se

    madiine ke vaalii habiib-e-KHudaa se

    karam baT rahaa hai dar-e-mustafaa se

    do 'aalam ke sultaa.n kii rif.at to dekho

    sar-e-'arsh milne chale hai.n KHudaa se

    mujhe bhii 'ataa ho navaaso.n kaa sadqa

    tumhaar hii sarkaar dast-e-'ataa se

    jamaal-e-mohammad hii vo aa.iina hai

    ki raushan hai ye duniyaa jis kii ziyaa se

    mile hashr me.n kaalii kamlii kaa saaya

    yahii aarzuu hai shafii'-ul-varaa se

    mahakte hai.n jo Guncha-o-gul chaman me.n

    mahak sab me.n shaamil hai salli-ala se

    nigaah-e-karam ik 'Giyaas'-e-hazii.n par

    shifaa diijiye apne daarushshifaa se

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 99)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now