Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

behtar se aur behtar hazrat uvais qarnii

Ghayas Aghazi

MORE BYGhayas Aghazi

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت اویس قرنی (الرقہ-شام)

    behtar se aur behtar hazrat uvais qarnii

    anmol hai.n vo gauhar hazrat uvais qarnii

    ik pal me.n phuul dil kaa ho jaataa hai shagufta

    aate hii naam lab par hazrat uvais qarnii

    kitnaa hasiin muqaddar hai aap ko mayassar

    naadiida 'ishq servar hazrat uvais qarnii

    nisbat milii hai jab se ghar kaa hai badlaa 'aalam

    har gosha hai munavvar hazrat uvais qarnii

    ye shaukat-e-'ovaisii' dekho zamaane vaalo

    mahbuub ke hai.n dilbar hazrat uvais qarnii

    merii du'aa ko aisii taasiir mil ga.ii hai

    pa.Dhtaa huu.n roz aksar hazrat uvais qarnii

    ulfat 'Giyaas' apnii kahtii hai ye jahaa.n se

    karte hai.n raaj dil par hazrat uvais qarnii

    Source :
    • Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 95)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now