huzuur kii jo nazar ek baar ho jaa.e
huzuur kii jo nazar ek baar ho jaa.e
to phir Gulaam bhii ik shahryaar ho jaa.e
huzuur ke qadam-e-paak par jo dam nikle
abhii sukuun-e-dil be-qaraar ho jaa.e
nazar kaa tiir vo dilkash hai mire maulaa
KHudaa kare ye kaleje ke paar ho jaa.e
mere huzuur kaa naqsh-e-qadam jo dekhe kahii.n
to jibra.iil ta.Dap kar nisaar ho jaa.e
nikal ke rauza-e-aqdas se yaa.n bhii aa jaanaa
mahak idhar bhii nasiim-e-bahaar ho jaa.e
nabii ke ishq me.n aa.nkho.n se Tapke jo aa.nsuu
Tapakte hii vo durr-e-shaahvaar ho jaa.e
jo daaG-e-ishq-e-nabii le ke qabr me.n jaa.uu.n
chamak ke vo vahii.n kHurshiid-vaar ho jaa.e
nabii ke ishq me.n aisii ba.Dhe mujhe vahshat
ki jaama-e-hastii kaa ye taar taar ho jaa.e
jaluu.n mai.n aatish-e-ishq-e-nabii me.n yuu.n 'Gausii'
jigar bhii siina bhii dil daaG-daar ho jaa.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.