Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aarzuu hai ki tiraa gumbad-e-kHazraa dekhuu.n

Ghulam Qutubuddin Faridi

MORE BYGhulam Qutubuddin Faridi

    aarzuu hai ki tiraa gumbad-e-kHazraa dekhuu.n

    jis taraf aa.nkh uThe nuur barastaa dekhuu.n

    baiThne chain se detii nahii.n hasrat dil kii

    ab kisii taur tiraa naqsh-e-kaf-e-paa dekhuu.n

    is qadar aaj mere dil me.n ujaalaa kar de

    mai.n ba-taa-hadd-e-nazar teraa saraapaa dekhuu.n

    mujh pe yuu.n teraa karam ho shah-e-makkii madnii

    zulmat-e-shab me.n 'ayaa.n teraa ujaalaa dekhuu.n

    ik karam aur mire haal pe yaa rab kar de

    maut aa.e to ruKH-e-sayyad-e-vaalaa dekhuu.n

    haath aa.e na farishto.n ke merii fard 'amal

    yuu.n 'inaayat kaa tirii ra.ng niraalaa dekhuu.n

    Gair kii yaad se yuu.n mujh ko to kar de aazaad

    dil me.n dekhuu.n to faqat terii tamannaa dekhuu.n

    'qutub' jab KHaak-e-madiina hai har ik Gam kaa 'ilaaj

    kyaa Garaz hai ki ko.ii aur masiihaa dekhuu.n

    This content features in following collection(s)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now