yahii iltijaa hai shah-e-zamaa.n tire aastaane pe sar rahe

Ghulam Qutubuddin Faridi
MORE BYGhulam Qutubuddin Faridi
yahii iltijaa hai shah-e-zamaa.n tire aastaane pe sar rahe
merii sajda-rezii chamak uThe jo nasiib me.n tiraa dar rahe
tirii har nazar hai vo kiimiyaa jo gadaa ko kartii hai baadshaah
mire haal par shah-e-bahr-o-bar tirii ek aisii nazar rahe
ai ajal Thahar ki vo aa.e.nge unhe.n ik nazar to mai.n dekh luu.n
Gam-e-marg kyaa mire ruu-ba-ruu shah-e-jinn-o-ins agar rahe
mirii kaamyaab ho aarzuu mirii iltijaa ye qubuul ho
ki nisaar aap ke naam par mirii jaan meraa jigar rahe
Gam-e-dahr dil se nikaal do mire aap se hai.n savaal do
mire sar ko aap kaa dar mile mire dil me.n aap kaa ghar rahe
ye jo nazm-e-nasq-e-jahaan hai ye mere huzuur kii shaan hai
vo na ho.n to qutb-e-jahaa.n kaa ye nizaam zer-o-zabar rahe

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.