giraa ho ke behosh shaidaa tumhaaraa
giraa ho ke behosh shaidaa tumhaaraa
nazar aayaa jab us ko jalva tumhaaraa
hai masjid tumhaarii hai sheva tumhaaraa
kaliisaa tumhaaraa hai ka.aba tumhaaraa
tumhaarii jhalak hai jo dil un pe aayaa
buto.n me.n bhii pinhaa.n hai jalva tumhaaraa
dikhaa.ii jhalak jab ki muusaa ko apnī
to phir mujh se kyuu.n hai ye pardaa tumhaaraa
kaaro rahm 'sanjar' pe bahr-e-ilaahii
ki aazaad ho Gam se banda tumhaaraa
giraa ho ke behosh shaidaa tumhaaraa
nazar aayaa jab us ko jalva tumhaaraa
hai masjid tumhaarii hai sheva tumhaaraa
kaliisaa tumhaaraa hai ka.aba tumhaaraa
tumhaarii jhalak hai jo dil un pe aayaa
buto.n me.n bhii pinhaa.n hai jalva tumhaaraa
dikhaa.ii jhalak jab ki muusaa ko apnī
to phir mujh se kyuu.n hai ye pardaa tumhaaraa
kaaro rahm 'sanjar' pe bahr-e-ilaahii
ki aazaad ho Gam se banda tumhaaraa
- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalame--Sanjar (Pg. 4)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.