Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

haa.n vaaris-e-mohmmad vaaris alii tumhii.n ho

Akhtar Warsi

MORE BYAkhtar Warsi

    Interesting Fact

    (ماہنامہ صحیفہ وارث دیویٰ شریف)

    haa.n vaaris-e-mohmmad vaaris alii tumhii.n ho

    shaaho.n ke shaah tum ho haq ke valii tumhii.n ho

    ye dil hai ghar tumhaaraa is me.n tum hii tumhii.n ho

    tum maz.har-e-KHudaa ho sirr-e-KHafii tumhii.n ho

    tum ko banaayaa haq ne sham-e-rah-e-hidaayat

    muusaa ne thii jo dekhii vo raushnii tumhii.n ho

    tum hii ne mujh ko maaraa tum hii karoge zinda

    jaan-e-hazii.n tumhii.n ho dil kii KHushii tumhii.n ho

    ho shukr yaa shikaayat sab hai tumhii.n se mujh ko

    jo mudda.aa hai apnaa vo mudda.ii tumhii.n ho

    dekhaa jamaal-e-ahmad paayaa jalaal-e-haidar

    ruuh-e-nabii tumhii.n ho jaan-e-alii tumhii.n ho

    kholii jo chashm-e-haq hai.n dekhaa bashar ho lekin

    jinn-o-malak falak kyaa sab kuchh tum ho tumhii.n ho

    vo matl.a-e-haqiiqat pinhaa.n thaa jo azal me.n

    zaahir hu.aa vo aaKHir nuur-e-nabii tumhii.n ho

    dekhaa chhupaa KHudaa ko hai kisvat-e-bashar me.n

    shor-e-anaa tumhii.n ho ramz-e-KHafii tumhii.n ho

    paate hai.n nuur jis se shams-o-qamar falak par

    vo 'aKHtar'-e-daraKHshaa.n mahr-e-jalii tumhii.n ho

    Source :
    • Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 228)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now