jamaal apnaa jo juz-o-gul me.n dikhaa rahaa hai vahii KHudaa hai

Habibullah Saghar Warsi
MORE BYHabibullah Saghar Warsi
jamaal apnaa jo juz-o-gul me.n dikhaa rahaa hai vahii KHudaa hai
samajh se baahar hai jo samajh me.n bhii aa rahaa hai vahii KHudaa hai
vajuud us kaa ahad hai be-shak vo lam-yalid hai valam-yakul-lahu hai
jo dil nazar ko ajab tamaashe dikhaa rahaa hai vahii KHudaa hai
vo dil se jitnaa qariib-tar hai nazar se utnaa ba.iid bhii hai
jo iKHtiyaar-e-bashar ko aajiz banaa rahaa hai vahii KHudaa hai
rahiim bhii vo kariim bhii vo ginaa.e.n us ke sifaat kyaa kyaa
jo har do-aalam pe kaifiyat ban ke chhaa rahaa hai vahii KHudaa hai
aziim-tar hai.n sifaat us ke vo nuur bhii hai vo naar bhii hai
jo raah paanii me.n aag me.n gul khilaa rahaa hai vahii KHudaa hai
KHafii jalii sab usii ke taabe hai KHushk-o-tar par ubuur us ko
jamaal jis kaa nazar ko KHiira banaa rahaa hai vahii KHudaa hai
fir.aun-o-shaddaad kii misaale.n hai.n baaqii ab tak jahaa.n me.n 'saaGar'
jo sar uThaa.egaa us ke purze u.Daa rahaa hai vahii KHudaa hai

- Book : Surood-e-Asfia (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.