Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ujaalaa hai nihaa.n qur.aan me.n ruu-e-mohammad kaa

Habibullah Saghar Warsi

MORE BYHabibullah Saghar Warsi

    ujaalaa hai nihaa.n qur.aan me.n ruu-e-mohammad kaa

    ye aa.iina hai ik rukHsaar-o-gesuu-e-mohammad kaa

    KHulaasa suura-e-vashshams kaa vallail kaa kyaa hai

    ye partavai-e-hasii.n hai mus.haf-e-ruu-e-mohammad kaa

    namaaz-e-ishq pa.Dhte hai.n tasavvur hii tasavvur me.n

    banaa kar qibla ham mahraab abruu-e-mohammad kaa

    yahii.n se laa-makaa.n ko jaada-e-asraar jaataa hai

    KHudaa kaa raasta hai raasta kuu-e-mohamma kaa

    jo kHushbuu-e-azal hai zehn me.n mahfuuz aadam ke

    vo KHushbuu baab hai dar-asl kHushbuu-e-mohammad kaa

    pa.Daa thaa bojh jab qur.aan kaa dosh mahammad par

    tahayyur aafrii.n manzar thaa qaabuu-e-mohammad kaa

    adam kii nii.nd so jaa.egaa 'saaGar' shor-e-mahshar me.n

    jo mil jaaye sirhaanaa mujh ko zaanuu-e-mohammad kaa

    Source :
    • Book : Surood-e-Asfia (Pg. 37)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now