biimaar-e-mohabbat hai.n davaa maa.ng rahe hai.n

Habibullah Saghar Warsi
MORE BYHabibullah Saghar Warsi
biimaar-e-mohabbat hai.n davaa maa.ng rahe hai.n
vaaris tire haatho.n kii shifaa maa.ng rahe hai.n
suuraj kii taraf dekhne vaale yahaa.n aakar
vaaris tere qadmo.n kii ziyaa maa.ng rahe hai.n
ai raah-numaa ab hame.n manzil kaa pata de
bhaTke hu.e raahii hai.n pata maa.ng rahe hai.n
tuu aa.e to gulshan me.n ujaalaa ho mahak ho
Gunche tire daaman kii havaa maa.ng rahe hai.n
mere liye vaaris kaa tasavvur hii bahut hai
de un ko KHudaa jo bhii KHudaa maa.ng rahe hai.n
manzuur hame.n aap ke ghar kii ye sazaa.e.n
mujrim hai.n tire terii sazaa maa.ng rahe hai.n
vaaris kaa vasiila de pata de unhe.n 'saaGar'
marqad me.n jo nakiirain pata maa.ng rahe hai.n

- Book : Surood-e-Asfia (Pg. 133)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.