shanaasaa-e-rumuuz-e-laa-makaa.n hai.n auliyaa-allaah

Habibullah Saghar Warsi
MORE BYHabibullah Saghar Warsi
shanaasaa-e-rumuuz-e-laa-makaa.n hai.n auliyaa-allaah
KHudaa ke mustafaa ke tarjumaa.n hai.n auliyaa-allaah
nigaah-e-diid agar ho to ye parde aap khulte hai.n
kahaa kis ne zamaane se nihaa.n hai.n auliyaa-allaah
salaatiin-e-zamaa.n bhii KHam hai.n un ke aastaano.n par
jahaan-e-maa'rifat ke tarjumaa.n hai.n auliyaa-allaah
aqiidat se unhe.n chaaho to ye chaahe.nge tum ko bhii
jahaa.n par ishq saadiq hai vahaa.n hai.n auliyaa-allaah
'aziiz-o-uqdahaa-e-auliyaa likhnaa bahut mushkil
vahaa.n tak pahu.nchiy.egaa ki jahaa.n hai.n auliyaa-allaah
alii kaa martaba zaahir hai be-shak un gharaano.n se
zahe qismat nishaan-e-be-nishaa.n hai.n auliyaa-allaah
sataa.ish un kii kyaa hogii qalam aajiz ya.nh 'saaGar'
kahaa.n merii zabaa.n hai aur kahaa.n hai.n auliyaa-allaah

- Book : Surood-e-Asfia (Pg. 227)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.