do jahaa.n me.n nuuraanii qaafile nahii.n hote

Habibullah Saghar Warsi
MORE BYHabibullah Saghar Warsi
do jahaa.n me.n nuuraanii qaafile nahii.n hote
farsh par qadam un ke gar pa.De nahii.n hote
raaste mohammad ke gar mile nahii.n hote
sar uThaa ke duniyaa me.n ham jiye nahii.n hote
KHauf-e-hashr hai un ko fikr-e-hashr hai un ko
jin ke dil me.n iimaa.n hai vo bure nahii.n hote
diidanii mahammad se maa.ng lii agar hotii
hosh kho ke muusaa yuu.n KHud gire nahii.n hote
ambiyaa ke zumre me.n ‘aarifo.n kii baiThak me.n
kis jagah mahammad ke rat-jage nahii.n hote
martabe me.n siirat me.n zaat me.n qalamdaa.n me.n
ambiyaa to hote hai.n aap-se nahii.n hote
mustafaa kii nisbat se KHud ko jo.D le 'saaGar'
be-vasiila jannat me.n daaKHle nahii.n hote

- Book : Surood-e-Asfia (Pg. 40)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.