Sufinama

jo hai ambiyaa kii zabaan par vahii naam naam-e-rasuul hai

Habibullah Saghar Warsi

MORE BYHabibullah Saghar Warsi

    jo hai ambiyaa kii zabaan par vahii naam naam-e-rasuul hai

    ya.nh jibra.iil bhii da.ng hai ki ye kyaa maqaam-e-rasuul hai

    hai mire rasuul pe munhasir jise chaahe hashr me.n chho.D de

    jise iKHtiyaar hai hashr par ye vahii nizaam-e-rasuul hai

    mire mustafaa pe hai.n aayate.n ye nuzuul-e-vallail vazzuhaa

    ye matiin-e-sub.h-e-rasuul hai vo amiin-e-shaam-e-rasuul hai

    ye hai baargaah rasuul kii ya.nh dast-basta hai har ko.ii

    ki ya.nh lihaaz-e-rasuul hai ya.nh ehtiraam-e-rasuul hai

    ye nasha hai ishq-e-rasuul kaa jise mil gayaa use mile gayaa

    jo KHudaa ke sar me.n samaa gayaa vo suruur jaam-e-rasuul hai

    zaraa dekh us kii bulandiyaa.n ye kisii nabii ko milii nahii.n

    jise arsh kahte hai.n ahl-e-dil vo qariib naam-e-rasuul hai

    jo qabuul rabb-e-jaliil ho tirii na.at 'saaGar'-e-vaarsii

    jise mustafaa kaa suruur hai to vahii Gulaam-e-rasuul hai

    Source :
    • Book : Surood-e-Asfia (Pg. 48)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now