nuur-e-zaat-e-munazzah habiib-e-KHudaa mustafaa mustafaa mustafaa mustafaa

Habibullah Saghar Warsi
MORE BYHabibullah Saghar Warsi
nuur-e-zaat-e-munazzah habiib-e-KHudaa mustafaa mustafaa mustafaa mustafaa
martabat aap kii shaan-e-rabbul-'ulaa mustafaa mustafaa mustafaa mustafaa
zaat-e-haq ko kisii ne bhii dekhaa nahii.n us ke ijmaal ko.ii bhii paayaa nahii.n
aap kii zaat me.n us kaa nuur-e-’ulaa mustafaa mustafaa mustafaa mustafaa
ibtidaa aap se intihaa aap se hai.n azal taa-abad us kii jaulaaniyaa.n
zulf vallail hai.n chehra hai vazzuhaa mustafaa mustafaa mustafaa mustafaa
jab ki me.araaj me.n aap matluub the haq kii mehmaanii par aap mansuub the
qaab-qausain par raaz ye khul gayaa mustafaa mustafaa mustafaa mustafaa
aap kii zaat me.n jalva-e-tuur hai sar se paa.nv talak nuur hii nuur hai
maqsad-e-ainamaa sirr-e-ant-anaa mustafaa mustafaa mustafaa mustafaa
ko.ii dekhe zaraa rutba-e-zii-vaqaar jis ke tum ho ga.e us kaa parvardigaar
hai razaamandii-e-rab tumhaarii razaa mustafaa mustafaa mustafaa mustafaa
Gaib-daa.n vo hai.n un par hai sab kuchh ayaa.n terii big.Dii banaa.e.nge mere nabii
vird-e-lab ho vaziifa ye 'saaGar' sadaa mustafaa mustafaa mustafaa mustafaa

- Book : Surood-e-Asfia (Pg. 86)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.