mustafaa ke naaz-parvar yaa husain
Interesting Fact
منقبت درشان سیدالشہدا حضرت امام حسین (کربلا-عراق)
mustafaa ke naaz-parvar yaa husain
aap kaa iisaar-e-athar yaa husain
hai mohammad kaa tajammul aap me.n
aap kaa qad hai payambar yaa husain
aayate.n utri falak se aap par
aap kaa irfaa.n samandar yaa husain
aaj bhii jalte hai.n karbal ke alaav
aaj bhii kaTte hai.n asGar yaa husain
aaj bhii raushan KHitaabat aap kii
karbalaa hai us kaa mimbar yaa husain
shimr ke sar ko kuchalne ke liye
aap kii kaafii hai Thokar yaa husain
is fanaa me.n dekh 'saaGar' hai baqaa
rakh naza.a ke vaqt lab par yaa husain
mustafaa ke naaz-parvar yaa husain
aap kaa iisaar-e-athar yaa husain
hai mohammad kaa tajammul aap me.n
aap kaa qad hai payambar yaa husain
aayate.n utri falak se aap par
aap kaa irfaa.n samandar yaa husain
aaj bhii jalte hai.n karbal ke alaav
aaj bhii kaTte hai.n asGar yaa husain
aaj bhii raushan KHitaabat aap kii
karbalaa hai us kaa mimbar yaa husain
shimr ke sar ko kuchalne ke liye
aap kii kaafii hai Thokar yaa husain
is fanaa me.n dekh 'saaGar' hai baqaa
rakh naza.a ke vaqt lab par yaa husain
- Book : Surood-e-Asfia (Pg. 116)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.