Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

allaah allaah manzil-e-’izz-o-vaqaar-e-faatima

Hafiz Fazl Hussain

allaah allaah manzil-e-’izz-o-vaqaar-e-faatima

Hafiz Fazl Hussain

MORE BYHafiz Fazl Hussain

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت فاطمہ زہرا (مدینہ منورہ)

    allaah allaah manzil-e-’izz-o-vaqaar-e-faatima

    chuumii huuraan-e-jinaa.n ne rahguzaar-e-faatima

    hai ba-zaahir saada sii qabr-e-munavvar aap kii

    aaj bhii mahlo.n se uu.nchaa hai dayaar-e-faatima

    aayat-e-tathiir naazil kar ke rab ne dahr me.n

    momino.n par kar diyaa zaahir vaqaar-e-faatima

    sar la'iino.n ke uchhalte aa.e.nge har suu nazar

    aa rahaa hai suu-e-maqtal shahsavaar-e-faatima

    karbalaa ab to bataa hai kitne phuulo.n kii talab

    luT rahaa hai dasht me.n baaG-e-bahaar-e-faatima

    fazl-e-rab se ibn-e-zahraa diin par qurbaa.n hu.e

    hai sharii'at tab se ab tak qarz-daar-e-faatima

    Source :
    • Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 400)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now