tum jo kahte ho laa-makaan hai ye
tum jo kahte ho laa-makaan hai ye
mere mahbuub kaa makaan hai ye
jald saudaa kHariidiye aakar
hazrat-e-'ishq kii dukaan hai ye
jis ko sab zauq-o-shauq kahte hai.n
ganj-e-ulfat kaa raazdaan hai ye
paa.nv rakhiyo sambhaal kar ai dil
merii dilbar kaa aastaa.n hai ye
zaahid mai.n ne pii sharaab nahii.n
nashshaa-e-'ushshaaqaan-e-nishaa.n hai ye
fil-haqiiqat hai daftar-e-'ushshaaq
kaun kahtaa hai daastaan hai ye
kiijiye shauq se salaam-e-adab
shaah-e-ajmer kaa makaan hai ye
log jis ko 'habiib' kahte hai.n
dar-e-jaanaa.n kaa daarbaan hai ye
tum jo kahte ho laa-makaan hai ye
mere mahbuub kaa makaan hai ye
jald saudaa kHariidiye aakar
hazrat-e-'ishq kii dukaan hai ye
jis ko sab zauq-o-shauq kahte hai.n
ganj-e-ulfat kaa raazdaan hai ye
paa.nv rakhiyo sambhaal kar ai dil
merii dilbar kaa aastaa.n hai ye
zaahid mai.n ne pii sharaab nahii.n
nashshaa-e-'ushshaaqaan-e-nishaa.n hai ye
fil-haqiiqat hai daftar-e-'ushshaaq
kaun kahtaa hai daastaan hai ye
kiijiye shauq se salaam-e-adab
shaah-e-ajmer kaa makaan hai ye
log jis ko 'habiib' kahte hai.n
dar-e-jaanaa.n kaa daarbaan hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.