Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

maqaam-e-qarb tak vo mazhar-e-nuur-e-kHudaa pahu.nche

Hafiz Malegaonvi

MORE BYHafiz Malegaonvi

    maqaam-e-qarb tak vo mazhar-e-nuur-e-kHudaa pahu.nche

    nazar insaa.n kii kyaa pahu.nche jahaa.n par mustafaa pahu.nche

    jahaa.n insaa.n pahu.nch saktaa nahii.n apne tasavvur se

    mohammad mustafaa lekar bashar kaa aa.iina pahu.nche

    navaazaa hai KHudaa ne mansab-e-'aalii se hazrat ko

    jahaa.n par aap pahu.nche kyuu.n vahaa.n tak duusraa pahu.nche

    karo sall-e-'alaa kaa vird is suurat se mahfil me.n

    farishto.n tak sadaa-e-naGma-e-salle-'alaa pahu.nche

    pahu.nch sakte nahii.n jibra.iil bhii jis jaa pe ai 'haafiz'

    vahaa.n shamsuzzuhaa pahu.nche vahaa.n nuurul-hudaa pahu.nche

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now