hai arsh-e-barii.n aur madiine kii zamii.n aur

allaah yahaa.n ke hai.n makaa.n aur makii.n aur
uTh uTh ke chale saath ka.ii tuur-nashii.n aur
jo ka.abe ko jaate hai.n vo jaa.e.nge kahii.n aur
aaKHir tujhe kis baat kaa da.avaa hai zuleKHaa
tuu ko.ii dikhaa de mire yuusuf saa hasii.n aur
hai arsh-e-barii.n farsh-e-rah-e-gumbad-e-KHizraa
hai merii jabii.n aur farishto.n kii jabii.n aur
dono.n hai.n maqaam ek makaa.n ek makii.n ek
ka.abe se ko.ii jaa ke madiine me.n nahii.n aur
badluu.n dil par naqsh se kyaa mohr-e-sulaimaa.n

siidhaa saa musalmaa.n huu.n samajhte hai.n ye but bhii
millat na mirii aur na meraa ko.ii dii.n aur
farmaa.e.nge mujh ko sharaf-andoz-e-ziyaarat
Thahraa rahe siine me.n jo dam baaz-pasii.n aur
din din hu.ii jaatii hai jo nazdiik qayaamat
va.ade kii vafaa kaa mujhe hotaa hai yaqii.n aur
mu.nh po.nchh ke kahnaa vo miraa shaiKH-e-haram se
haa.n naam se zamzam ke zaraa qibla-e-dii.n aur
turbat ho qayaamat ho jahannam ho ki jannat
ham uTh ke na jaa.e.nge tire dar se kahii.n aur
lo khol dii.n aa.nkhe.n sharaf sajda-e-dar ne
hai.n apnii nigaaho.n me.n 'riyaaz' aaj hamii.n aur

- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 265)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.