Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hai dil me.n 'ishq-e-nabii kaa jalva nazar me.n daataa samaa rahe hai.n

Wasif Ali Wasif

MORE BYWasif Ali Wasif

    Interesting Fact

    نصرت فتح علی خاں نے واصف علی واصف کا یہ کلام پہلی بار داتا دربار میں عرس کے دوران میں پڑھا تھا۔

    hai dil me.n 'ishq-e-nabii kaa jalva nazar me.n daataa samaa rahe hai.n

    ba.De adab kaa maqaam hai ye huzuur tashriif laa rahe hai.n

    kisii kaa hogaa ko.ii sahaaraa hai ek daataa faqat hamaaraa

    yahii Gulaamo.n kii bandagii hai ham apnaa daataa manaa rahe hai.n

    nagar-nagar me.n karo munaadii hai aaj daataa piyaa kii shaadii

    hamaare daataa bane hai.n duulhaa Gulaam mahfil sajaa rahe hai.n

    'ajiib daataa ke silsile hai.n fariid ghuThne ke bal chale hai.n

    vahii madiine kaa raasta hai jo raah daataa dikhaa rahe hai.n

    hamaare daataa ke sab savaalii ko.ii gayaa aaj tak na KHaalii

    hamaare daataa kii shaan dekho vo sab kii big.Dii banaa rahe hai.n

    har ek nazar me.n bharii hai mastii badal dii daataa ne sab kii hastii

    ye mast daataa ke pii rahe hai.n nazar se daataa pilaa rahe hai.n

    yahaa.n shahanshaah adab se aa.e.n yahaa.n to KHvaaja bhii sar jhukaa.e

    vahii hu.e sarfaraaz 'vaasif' yahaa.n jo ban kar gadaa rahe hai.n

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now