Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hai qum-bi-iznii mo.ajiza jis ke Gulaam kaa

Khwaja Ruknuddin Ishq

hai qum-bi-iznii mo.ajiza jis ke Gulaam kaa

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

    hai qum-bi-iznii mo.ajiza jis ke Gulaam kaa

    rutba hai vo hamaare alaihis-salaam kaa

    e.ajaaz-e-ambiyaa ko na kar mujh se tuu bayaa.n

    adnaa maqaam hai shah-e-aalii-maqaam kaa

    mat dastaras ko puuchh tuu shaqq-ul-qamar ko dekh

    jibriil hai bariid jahaa.n ke payaam kaa

    aayaat-e-bayyenaat kii ramze.n na paatii KHalaq

    shaareh agar na hotaa vo haq ke kalaam kaa

    lail-o-nahaar chaahe agar KHuub guzre 'ishq'

    kar vird us ke naam ko tuu sub.h-o-shaam kaa

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 2)
    • Author : Quraisha Husain
    • Publication : The Azad Press, Patna (1979)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now