alii-al-murtaza mushkil-kushaa-e-do-jahaa.n Thahre

Hairat Shah Warsi
MORE BYHairat Shah Warsi
alii-al-murtaza mushkil-kushaa-e-do-jahaa.n Thahre
vo shaah-e-laa-fataa KHalvat-nashiin-e-laa-makhaa.n Thahre
vo baab-e-ilm va zor-e-dast-o-baazuu-e-mohammad the
vo shaah-e-zulfiqaar-o-peshvaa-e-ins-o-jaa.n Thahre
uKHuvvat ke vilaayat ke imaamat ke KHilaafat ke
haqiiqat me.n agar dekhaa to vo ruuh-e-ravaa.n Thahre
shujaa.at ke saKHaavat ke muravvat ke mohabbat ke
vo dam Thahre vo KHam Thahre vo dil Thahre vo jaa.n Thahre
vo sab kii sunte aa.e hai.n vo sab kii sunte jaa.e.nge
azal ke rose hii se vo aniis-e-be-kasaa.n Thahre
kuchh apne pyaare farzindo.n ke sadqe me.n ataa kiije
azal se ham gadaa hai.n aap shaah-e-do-jahaa.n Thahre
hamaarii be-kasii kii laaj bhii ab aap hii ko hai
masiihaa hai.n hamaare aap aur ham naa-tavaa.n Thahre
tere 'hairat' ko jab ko.ii Thikaanaa mil nahii.n saktaa
kahaa.n jaaye kahaa.n aa.e kahaa.n baiThe kahaa.n Thahre

- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 125)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.