Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nasiim-e-madiina masarrat hai mirii

Haji Abdullah Akbari

nasiim-e-madiina masarrat hai mirii

Haji Abdullah Akbari

MORE BYHaji Abdullah Akbari

    nasiim-e-madiina masarrat hai mirii

    ye aanaa hii us kaa qiyaamat hai mirii

    mile.n tum se kyuu.n kyaa haqiiqat hai mirii

    hai.n KHud aap mojid jo suurat hai mirii

    ho KHud raaz-daa.n tum kaho KHud mai.n kyaa huu.n

    bayaa.n mai.n karuu.n kyaa haqiiqat hai mirii

    vo but mujh se kahtaa hai suurat dikhaa kar

    har ik shakl me.n huu.n ye suurat hai mirii

    har ik dil pe qabza kiyaa jis ne apnaa

    yahii fil-haqiiqat mohabbat hai mirii

    agar parda ho tirii suurat ko mujh se

    yahii to mirii jaa.n qiyaamat hai mirii

    jo kartii hai be-chain 'aalam ke dil ko

    vo kyaa hai to kahte hai.n ulfat hai mirii

    nasiim-e-madiina masarrat hai mirii

    ye aanaa hii us kaa qiyaamat hai mirii

    mile.n tum se kyuu.n kyaa haqiiqat hai mirii

    hai.n KHud aap mojid jo suurat hai mirii

    ho KHud raaz-daa.n tum kaho KHud mai.n kyaa huu.n

    bayaa.n mai.n karuu.n kyaa haqiiqat hai mirii

    vo but mujh se kahtaa hai suurat dikhaa kar

    har ik shakl me.n huu.n ye suurat hai mirii

    har ik dil pe qabza kiyaa jis ne apnaa

    yahii fil-haqiiqat mohabbat hai mirii

    agar parda ho tirii suurat ko mujh se

    yahii to mirii jaa.n qiyaamat hai mirii

    jo kartii hai be-chain 'aalam ke dil ko

    vo kyaa hai to kahte hai.n ulfat hai mirii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now