har ik mushkil me.n kaam aa.ii duhaa.ii mere maulaa kii

Kamil Shattari
MORE BYKamil Shattari
Interesting Fact
منقبت درشان حضرت مولیٰ علی (نجف۔عراق)
har ik mushkil me.n kaam aa.ii duhaa.ii mere maulaa kii
ajab kuchh Dhab kii hai mushkil-kushaa.ii mere maulaa kii
KHirad ne sau tarah suurat dikhaa.ii mere maulaa kii
samajh me.n shaan phir bhii kuchh na aa.ii mere maulaa kii
har ik hadd-e-ta.ayyun se alii kii shaan a.alaa hai
ayaa.n KHud naam hii se hai ba.Daa.ii mere maulaa kii
na jaane aalam-e-takviin me.n kis kis ko rashk aayaa
mohabbat mere hisse me.n jab aa.ii mere maulaa kii
ye haq ke saath rahte hai.n haq un ke saath rahtaa hai
nahii.n mumkin kabhii haq se judaa.ii mere maulaa kii
imaam-e-do-jahaa.n hai.n muqtdaa-e-jaan-e-paakaa.n hai.n
mubaarak paak baazuu peshvaa.ii mere maulaa kii
mohammad jis ke maulaa hai.n alii bhii us ke maulaa hai.n
bataa.o to ye azmat kis ne paa.ii mere maulaa kii
inhii.n se ahal-e-irfaa.n zindagii mahsuus karte hai.n
dilo.n kii maut hai dam bhar judaa.ii mere maulaa kii
muhii.uddiin mu.iinuddiin bahaa.uddiin shahaabuddiin
ka.ii naamo.n se hai jalva-numaa.ii mere maulaa kii
nigaah-e-shauq ne 'kaamil' ibaadat ke maze lauTe
nazar ke saamne suurat jab aa.ii mere maulaa kii

- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 163)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.