jamaal-e-shah-e-bahr-o-bar Gaus-e-aa'zam
Interesting Fact
منقبت در شان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
jamaal-e-shah-e-bahr-o-bar Gaus-e-aa'zam
dikhaa diijiye ik nazar Gaus-ul-aa'zam
hai qurbaan dil naam par Gaus-ul-aa'zam
vaziifa hai shaam-o-sahar Gaus-e-aa'zam
'alii ke vaalid rahe valiyo.n ke rahbar
KHudaa kii hai tum par nazar Gaus-e-aa'zam
husain-o-hasan ke chaman kii hai.n raunaq
riyaazii nabii ke samar Gaus-e-aa'zam
sharii'at hai taabaa.n tariiqat hai raushan
haqiiqat ke shams-o-qamar Gaus-e-aa'zam
tasavvur me.n hai aap kii shakl nuurii
munavvar hai.n qalb-o-jigar Gaus-e-aa'zam
farishte adab se mu.addab kha.De hai.n
vo hai aap kaa paak dar Gaus-e-aa'zam
mai-e-naqshbandii se sarshaar hai dil
nahii.n mujh ko apnii KHabar Gaus-e-aa'zam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.