ke kii aaGosh me.n jaa ke chhup jaate hai.n

aav nabii ke aale divaale chhup jaate hai.n
dhartii ke jis Tuk.De par vo jalva-numaa hai.n
haft aflaak bhii un ke saamne chhup jaate hai.n
aaKHirii KHutba aur phir vo me'yaar-e-taqvaa
jis me.n saare gore kaale chhup jaate hai.n
un ke saamne jis ko dekho maa.nd pa.Daa hai
suuraj aa jaaye to taare chhup jaate hai.n
chashm-e-tar kartii hai dar-e-aqdas pe du.aa.e.n
us dam alfaaz zabaa.n se chhup jaate hai.n
ek hii rasta siidhaa rasta un kii sharii.at
jis ke sabab gum-karda raste chhup jaate hai.n
is se pahle ko.ii ham ko vaapas bheje
fauran KHaak-e-taiba o.Dh ke chhup jaate hai.n

- Book : Subhe Bara'n (Pg. 4)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.