aisaa tujhe KHaaliq ne tarh-daar banaayaa

yuusuf ko tiraa taalib-e-diidaar banaayaa
tal'at se zamaana ko pur-anvaar banaayaa
nik.hat se galii-kuucho.n ko gulzaar banaayaa
diivaaro.n ko aa.iina banaate hai.n vo jalve
aa.iino.n ko jin jalvo.n ne diivaar banaayaa
vo jins kiyaa jis ne jise ko.ii na puuchhe
us ne hii miraa tujh ko KHariidaar banaayaa
ai nazm-e-risaalat ke chamakte hue maqta'
tuu ne hii use matla-e-anvaar banaayaa
kaunain banaa.e ga.e sarkaar kii ḳhātir
kaunain kii KHaatir tumhe.n sarkaar banaayaa
kunjii tumhe.n dii apne KHazaano.n kii KHudaa ne
mahbuub kyaa maalik-o-muKHtaar banaayaa
allaah kii rahmat hai ki aise kii ye qismat
'aasii kaa tumhe.n haamii-o-Gam-kHvaar banaayaa
aa.iina-e-zaat-e-ahadii aap hii Thahre
vo husn diyaa aisaa tarh-daar banaayaa
anvaar-e-tajallii se vo kuchh hairate.n chhaa.ii.n
sab aa.iino.n ko pusht-ba-diivaar banaayaa
'aalam ke salaatiin bhikaarii hai.n bhikaarii
sarkaar banaayaa tumhe.n sarkaar banaayaa
gulzaar ko aa.iina kiyaa mu.nh kii chamak ne
aa.iina ko ruKHsaar ne gulzaar banaayaa
ye lazzat-e-paa-bos ki patthar ne jigar me.n
naqsh-e-qadam-e-sayyad-e-banaayaa banaayaa
be-parda vo jab KHaak-nashiino.n me.n nikal aa.e
har zarra ko kHurshiid-e-pur-anvaar banaayaa
ai maah-e-'arab mehr-e-'ajam me.n tire sadqe
zulmat ne mire din ko shab-e-taar banaayaa
allaah karam mere bhii viiraana-e-dil par
sahraa ko tire husn ne gulzaar banaayaa
allaah ta'alaa jo hu.aa us kaa taraf-daar
sarkaar tumhe.n jis kaa taraf-daar banaayaa
gulzaar-e-jinaa.n tere liye haq ne banaa.e
apne liye teraa gul-e-ruKHsaar banaayaa
be-yaar-o-madadgaar jinhe.n ko.ii na puuchhe
aiso.n kaa tujhe yaar-o-madadgaar banaayaa
har baat bad-aa'maaliyo.n se mai.n ne bigaa.Dii
aur tum ne mirii big.Dii ko har baar banaayaa
us jalva-e-ra.ngii.n kaa tasadduq thaa vo jis ne
firdaus ke har taKHta ko gulzaar banaayaa
un ke dur-e-dandaa.n kaa vo sadqa thaa ki jis ne
har qatra-e-naisaan-e-dur-e-shahvaar banaayaa
us ruuh-e-mujassam ke tabarruk ne masiihaa
jaa.n-baKHsh tumhe.n yuu.n dam-e-guftaar banaayaa
us chehra-e-pur-nuur kii vo bhiik thii jis ne
mehr-o-mah-o-anjum ko pur-anvaar banaayaa
un haatho.n kaa jalva thaa ye ai hazrat-e-muusaa
jis ne yad-e-baizaa ko ziyaa-baar banaayaa
un ke lab-e-ra.ngii.n kii nichhaavar thii vo jis ne
patthar me.n 'hasan' laa'l-pur-anvaar banaayaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.