hu.e hai.n diida-o-dil mahv-e-shaan-e-ganj-e-shakar

Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
Interesting Fact
منقبت درشان گنج شکر بابا فریدالدین مسعود (پاک پٹن۔پاکستان)
hu.e hai.n diida-o-dil mahv-e-shaan-e-ganj-e-shakar
zahe-nasiib milaa aastaan-e-ganj-e-shakar
vo bhii.D dekhiye vo aastaan-e-ganj-e-shakar
nazar ke saamne hai.n zaa.iraan-e-ganj-e-shakar
falak pe auj-e-surayyaa nishaan-e-ganj-e-shakar
kul auliyaa me.n niraalii hai shaan-e-ganj-e-shakar
mujhe hii fakHr nahii.n hai niyaaz-mandii kaa
hai.n saare jinn-o-malak madh-kHvaan-e-ganj-e-shakar
sadaa-bahaar hai.n us ke tamaam Guncha-o-gul
KHizaa.n kii zad me.n nahii.n gulistaan-e-ganj-e-shakar
miThaas shahd kii ek ek harf me.n un ke
nabaat-o-qand se shiirii.n zabaan-e-ganj-e-shakar
'ajab bhii.D hai qasr-e-jinaa.n me.n hashr-numaa
jidhar bhii dekho udhar ’aashiqaan-e-ganj-e-shakar
latiif-tar hai.n ’uruuj-o-nuzuul kii baate.n
sunaa.e jaaye ko.ii daastaan-e-ganj-e-shakar
husuul-e-qurb-e-ilaahii thii manzil-e-maqsuud
rukaa na aur kahii.n kaarvaan-e-ganj-e-shakar
unhii.n ke baaG ke gul saabir-o-nizaamuddiin
base hai.n dil me.n mire dilbaraan-e-ganj-e-shakar
jo in ke dost hai.n vo surkH-ruu jahaa.n me.n hai.n
zaliil-o-KHvaar hu.e dushmanaan-e-ganj-e-shakar
jidhar bhii dekhiye hai saamne tajallii-e-zaat
jahaan-e-tuur hai yaksar jahaan-e-ganj-e-shakar
'nasiir' apnii sii koshish qalam ne kii lekin
tamaam ho na sakii daastaan-e-ganj-e-shakar

- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 326)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.