valii KHudaa ke ho maashaa-allaah rasuul kii tum ho aal KHvaaja

Hunar Sillodi
MORE BYHunar Sillodi
Interesting Fact
موسیٰ آزاد قوال کی آواز میں فلم غلامی کے طرز ’’تمہارا دل یا ہمارا دل ہے‘‘ پر لکھی ہوئی مقبولِ عام منقبت درشان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
valii KHudaa ke ho maashaa-allaah rasuul kii tum ho aal KHvaaja
'alii kii aa.nkho.n ke tum ho taare ho faatima bii ke laal KHvaaja
ye hindu muslim ye sikh ’iisaa.ii sabhii to hai.n aap ke fidaa.ii
sabhii kii sunte ho tum sadaa.e.n sabhii kaa tum ko KHayaal KHvaaja
ye shaan sad-marhabaa tumhaarii KHudaa se aap ne du.aa kii
to baa.njh ‘aurat ne jag me.n paayaa KHudaa kii rahmat se la.al KHvaaja
gadaa hii kyaa taajvar bhii KHvaaja tumhaar dar kaa Gulaam adnaa
huzuur-e-sultaan-e-hind ho tum nahii.n tumhaarii misaal KHvaaja
jahaa.n me.n girto.n ko hai sambhaalaa kisii ko KHaalii na dar se Taalaa
har ik savaalii kaa tum ne be-shak kiyaa hai puuraa savaal KHvaaja
'hunar' pe nazr-e-karam ho aaqaa ye soch kar mai.n ne iltijaa kii
husain ke aap hai.n dulaare hai.n aap jaan-e-bilaal KHvaaja

- Book : Moosa Azad Qawwal, Part 1 (Pg. 5)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.