saath vo mauj-e-shafaq kii be-karaanii le gayaa

Duubtaa suuraj fazaa-e-aasmaanii le gayaa
ho ga.ii mahrūm KHushbuu se fazaa-e-gulsitaa.n
dard kaa mausam gulaabo.n kii javaanii le gayaa
vo na.ii tahziib ke har aa.iine ke vaaste
vaqt ke album se tasviire.n puraanii le gayaa
kaarvaan-e-ahl-e-haq ke miir kaa sajda thaa vo
karbalaa se jo hayaat-e-jaavedaanii le gayaa
talKHiyo.n kaa zahr jism-o-jaa.n me.n kaise ghul gayaa
KHush bayaano.n se jo un kii KHush-bayaanii le gayaa
kyaa pyaasaa thaa ki jis ne kar diyaa dariyaa ko dasht
apne kaase me.n hii bhar kar saaraa paanii le gayaa
aur kyaa le jaataa ghar se bhaa.iyo.n kaa intishaar
ehtiraam-e-ittihaad-e-KHaandaanii le gayaa
ab banaataa hai kahaa.n ko.ii kisii ko mehmaa.n
qahr mah.ngaa.ii kaa zauq-e-mezbaanii le gayaa
muskuraa kar aa.iine kaa narm lahja iltifaat
raaste ke pattharo.n kii saKHt jaanii le gayaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.