jo do-jahaa.n kii jaan hai jalva usii kaa Dhuu.nD

gulshan usii kaa Dhuu.nD nazaara isii kaa Dhuu.nD
rakhnaa ho sar me.n saudaa to rakh us kii zaat kaa
vahshat kaa ho taqaazaa to sahraa usii kaa Dhuu.nD
chal kar usii pe farsh se pahu.nchegaa arsh tak
manzil kī hai talaash to rasta isii kā Dhuu.nD
qismat se ho nasiib to chaukhaT isii kii chuum
dil ke qaraar ke liye kuucha usii kaa Dhuu.nD
us paikar-e-jamaal kaa jalva bhii dekh le
qur.aa.n ke saf.ha saf.ha me.n chehra usii kaa Dhuu.nD
mahbuub-e-kaa.inaat KHudaa ne jise kahaa
daaman usii kaa thaam sahaaraa usii kaa Dhuu.nD
tishna hai terii ruuh to taiba kii samt chal
saaqii vahii hai teraa miinaa isii kaa Dhuu.nD
taariikii-e-hayaat me.n mil jaa.egii najaat
ai 'iltifaat' tuu bhii ujaalaa usii kaa Dhuu.nD

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.