nabii ke faiz se vo dil jo faizyaab nahii.n

khilegaa us pe masarrat kaa ko.ii baab nahii.n
tamaam umr nazar me.n vahii samaa.ae rahe.n
unhe.n hii KHvaab me.n dekhuu.n ye kis kaa KHvaab nahii.n
jo dil se un pe daruud-o-salaam pa.Dhte hai.n
ba-roz-e-hashr unhe.n ko.ii iztiraab nahii.n
unhe.n ke sadqe me.n baKHshii ga.ii hai us ko ziyaa
ye aaftaab baGair un ke aaftaab nahii.n
nigaah kaise uThaa.e.n vahaa.n farishte bhii
vo aadmii hai magar dekhne kii taab nahii.n
mire huzuur kii rif.at mare nabii kaa maqaam
ye vo savaal hai.n jin kaa ko.ii javaab nahii.n
mire huzuur ko jab muntaKHab KHudaa ne kiyaa
ab us ke ba.ad kisii kaa bhii intiKHaab nahii.n
vo shaah-e-vaqt hu.aa bhii to kyaa ki hai naakaam
nahii.n Gulaam-e-nabii vo to kaamyaab nahii.n
kahegaa us ko jigar kaun 'iltifaat' bhalaa
agar firaaq me.n un ke jigar kabaab nahii.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.