Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

shah-e-umama kii agar dil me.n chaah ho jaa.e

Iltefat Amjadi

MORE BYIltefat Amjadi

    shah-e-umama kii agar dil me.n chaah ho jaa.e

    gadaa bhii ho to zamaane kaa shaah ho jaa.e

    daruud pa.Dh ke aqiidat se gar qadam rakh duu.n

    mujhe yaqii.n hai samundar me.n raah ho jaa.e

    mire KHudaa tire mahbuub kaa ruKH-e-taabaa.n

    mirii nigaaho.n kii aamaajgaah ho jaa.e

    vahii KHudaa kii nigaaho.n me.n mo'atabar hogaa

    ki jis par mere nabii kii nigaah ho jaa.e

    jo un kii shaan me.n gustaaKHiyo.n kii soche bhii

    palak na jhapke ki uqbaa tabaah ho jaa.e

    nihaa.n jo siine me.n tauhiid kii amaanat hai

    to kufr-o-shirk se kaise nibaah ho jaa.e

    jab 'iltifaat' chale manzil-e-baqaa kii taraf

    mataa.a-e-’ishq-e-nabii zaad-e-raah ho jaa.e

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now