Sufinama

karuu.n naam se us ke mai.n ibtidaa

Imdad Ali Ulvi

karuu.n naam se us ke mai.n ibtidaa

Imdad Ali Ulvi

MORE BYImdad Ali Ulvi

    karuu.n naam se us ke mai.n ibtidaa

    ki jis ne jahaa.n kun se paidaa kiyaa

    hai zaat us kii be-chuu.n-o-chand-o-chraa

    sifaat us ke a.alam me.n be-intihaa

    vo naam-o-nishaa.n se barii aap hai

    pe naam-o-nishaa.n sab usii se hu.e

    kiyaa saare a.alam ko jab aashkaar

    to qudrat kii har ik dikhaa.ii bahaar

    mashiyyat kaa jab kuchh taqaaza hu.aa

    zuhuur apnaa qaid-e-bashar se kiyaa

    ba-ham karke naar-o-havaa aab-o-KHaak

    kii aaraasta us se ik shakl-e-paak

    yakaa-yak hu.aa hubb-e-zaatii ko josh

    hu.e mahv hastii-e-aadam ke hosh

    jahaa.n me.n hu.aa kashf sirr-e-vajuud

    hu.ii us ke pahluu se havvaa numuud

    jo ik jaa.n ko malbuus-e-ruu-tan milaa

    bahisht-e-barii.n un ko maskan milaa

    bas ab band kar le zabaa.n 'ulviyaa'

    zaraa Gaur tuu kar ki baktaa hai kyaa

    karuu.n naam se us ke mai.n ibtidaa

    ki jis ne jahaa.n kun se paidaa kiyaa

    hai zaat us kii be-chuu.n-o-chand-o-chraa

    sifaat us ke a.alam me.n be-intihaa

    vo naam-o-nishaa.n se barii aap hai

    pe naam-o-nishaa.n sab usii se hu.e

    kiyaa saare a.alam ko jab aashkaar

    to qudrat kii har ik dikhaa.ii bahaar

    mashiyyat kaa jab kuchh taqaaza hu.aa

    zuhuur apnaa qaid-e-bashar se kiyaa

    ba-ham karke naar-o-havaa aab-o-KHaak

    kii aaraasta us se ik shakl-e-paak

    yakaa-yak hu.aa hubb-e-zaatii ko josh

    hu.e mahv hastii-e-aadam ke hosh

    jahaa.n me.n hu.aa kashf sirr-e-vajuud

    hu.ii us ke pahluu se havvaa numuud

    jo ik jaa.n ko malbuus-e-ruu-tan milaa

    bahisht-e-barii.n un ko maskan milaa

    bas ab band kar le zabaa.n 'ulviyaa'

    zaraa Gaur tuu kar ki baktaa hai kyaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now