mariiz-e-dil kii shifaa laa-ilaaha il-lallaah

har ik maraz kii davaa laa-ilaaha il-lallaah
kisii gunaah se hotaa nahii.n zarar us ko
ki jis ne dil se kahaa laa-ilaaha il-lallaah
judaa mai.n tujh se nahii.n mujh mai.n tuu hai mai.n tujh me.n
'ajab ye vasl hu.aa laa-ilaaha il-lallaah
subuut-e-vasl se har ek vahm-o-shak me.n hai
na kuchh garaa.n naam kaa laa-ilaaha il-lallaah
sunaa thaa ye dekh liyaa dekh kar ye kuchh samjhaa
samajh ki mai.n KHud banaa laa-ilaaha il-lallaah
muqayyad-o-munazzah vahii samajhtaa hai
ki jis ke dil pe khulaa laa-ilaaha il-lallaah
mujhe KHamoshii me.n isbaat-o-nafii kaa hai vird
hai meraa shor-o-bukaa laa-ilaaha il-lallaah
jo dekhe Guncha ko kahe jalla-shaanuhu 'ulvii'
hai ra.ng-o-buu me.n chhupaa laa-ilaaha il-lallaah

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.