'inaayat kii nazar ho jaaye mujh aafat ke maare par

Baqir Shahjahanpuri
MORE BYBaqir Shahjahanpuri
'inaayat kii nazar ho jaaye mujh aafat ke maare par
ki merii mushkilo.n kaa faisla hai ik ishaare par
ghaTaa.e.n Gam kii chhaa.ii hai.n muqaddar ke sitaare par
be-KHiraam-e-dariyaa-e-Gam me.n huu.n tumhaar hii sahaare par
jo tum chaaho to aa jaa.e mirii kashtii kinaare par
vatan ko chho.D kar ghar-baar se mu.nh mo.D kar hazrat
dil-o-jaa.n bech kar mai.n ne KHariidii aap kii ulfat
bahut masruur huu.n dono.n jahaa.n kii mil ga.ii daulat
tamannaa hai na huuro.n kii na ab hai KHvaahish-e-jannat
yahii ik aarzuu hai jaan nikle tere rauze par
pha.nsii hai bahr-e-Gam me.n kashtii-e-'umr-e-be-KHiraam merii
KHabar le aan-kar o naa-kHudaa-e-do-jahaa.n us kii
jhakole par jhakole khaa rahii hai aas hai TuuTii
Dubo de yaa use to paar kar de ye terii marzii
uThaa kar mai.n ne la.ngar chho.D dii tere sahaare par

- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 175)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.