me'yaar-e-ahl-e-diin hai usva huzuur kaa

aur ruuh-e-asl-e-diin hai KHutba huzuur kaa
jo kuchh bhii hai jahaa.n bhii hai sab un ke dam se hai
ye saarii kaa.inaat hai sadqa huzuur kaa
allaah KHud hai vaasif-e-ausaaf-e-mustafaa
qur.aan-e-paak kyaa hai qasiida huzuur kaa
surma karuu.n mai.n aa.nkho.n kaa qadmo.n kii dhuul ko
paa jaa.uu.n mai.n jo naqshe kaf-e-paa huzuur kaa
kyaa jaane kaisii ho.ngii vo raushan basaarte.n
dekhaa jinho.n ne KHud ruKH-e-zebaa huzuur kaa
'iqbaal' do gharo.n kaa pata dil pe naqsh hai
kaa'ba KHudaa kaa ghar hai madiina huzuur kaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.