Font by Mehr Nastaliq Web

merii nigaah se dekhe to ko.ii shaan-e-husain

Iqbal Hussain

MORE BYIqbal Hussain

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت امام حسین (کربلا-عراق)

    merii nigaah se dekhe to ko.ii shaan-e-husain

    buland 'arsh-e-barii.n se hai aastaan-e-husain

    jahaa.n me.n jab se farozaa.n hai daastaan-e-husain

    zamii.n ko ham to samajhte hai.n aastaan-e-husain

    falak gavaah hai sar ho gayaa judaa tan se

    magar qur.aan hii pa.Dhtii rahii zabaan-e-husain

    jo sar kaTaa ke diyaa ho raah-e-mohabbat me.n

    vo be-misaal hai duniyaa me.n imtihaan-e-husain

    zamiin-o-aasmaa.n shams-o-qamar ne dekhaa hai

    ki haq pe ho gayaa qurbaan KHaandaan-e-husain

    amiir ho ki gadaa ho ye jaante sab hai.n

    ki baadshaaho.n se behtar hai kHaadimaan-e-husain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now