KHuld-e-barii.n ke maalik-o-muKHtaar aap hai.n
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت امام حسین (کربلا-عراق)
KHuld-e-barii.n ke maalik-o-muKHtaar aap hai.n
shabbiir bekaso.n ke madad-gaar aap hai.n
hai sar buland aap kaa neze kii nok par
ye sar bataa rahaa hai ki sardaar aap hai.n
faujo.n kii mauj chiir ke pahu.nche furaat par
'aalam me.n naam-daar 'alam-daar aap hai.n
sabr-o-sukuun 'ahd-o-vafaa aur razaa-e-haq
arkaan-e-diin kaa khulaa kirdaar aap hai.n
baaqii yaziidiyat kaa na naam-o-nishaa.n rahaa
maujuud har jagah mere sarkaar aap hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.