Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nabii jab bhii chaahe.n KHudaa kii razaa se

Iqbal Raza

nabii jab bhii chaahe.n KHudaa kii razaa se

Iqbal Raza

MORE BYIqbal Raza

    nabii jab bhii chaahe.n KHudaa kii razaa se

    diye kar dii.n raushan bahaktii havaa se

    du.aa.o.n me.n rakhnaa nabii kaa vasiila

    yaqiinan milegaa bahut kuchh KHudaa se

    munavvar hu.aa jis se saaraa zamaana

    ujaalaa hu.aa aisaa Gaar hiraa se

    adab se tuu meraa salaam-e-'aqiidat

    sabaa jaa ke kahnaa shah-e-dosaraa se

    maza kaalii-kamlii ke saa.e kaa puuchho

    'alii se husain-o-hasan faatima se

    chalo apne daaman me.n iqbaal bhar le.n

    karam baT rahaa hai dar-e-mustafaa se

    nabii jab bhii chaahe.n KHudaa kii razaa se

    diye kar dii.n raushan bahaktii havaa se

    du.aa.o.n me.n rakhnaa nabii kaa vasiila

    yaqiinan milegaa bahut kuchh KHudaa se

    munavvar hu.aa jis se saaraa zamaana

    ujaalaa hu.aa aisaa Gaar hiraa se

    adab se tuu meraa salaam-e-'aqiidat

    sabaa jaa ke kahnaa shah-e-dosaraa se

    maza kaalii-kamlii ke saa.e kaa puuchho

    'alii se husain-o-hasan faatima se

    chalo apne daaman me.n iqbaal bhar le.n

    karam baT rahaa hai dar-e-mustafaa se

    Source :
    • Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 475)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now