diin-e-haq ke paasbaa.n aaqaa hasan maulaa husain

Ishtiyaque Alam Shahbazi
MORE BYIshtiyaque Alam Shahbazi
Interesting Fact
مناقب در شان حضرت امام حسین (کربلا-عراق)
diin-e-haq ke paasbaa.n aaqaa hasan maulaa husain
ham zamii.n tum aasmaa.n aaqaa hasan maulaa husain
kyaa sifat hogii bayaa.n aaqaa hasan maulaa husain
ham kahaa.n aur tum kahaa.n aaqaa hasan maulaa husain
naaz se dosh-e-payambar par biThaa.e aap ko
KHud imaam-e-mursalaa.n aaqaa hasan maulaa husain
naam-e-haq par apnaa ghar bhar kar diyaa jis ne fidaa
hai.n vo mere kaarvaa.n aaqaa hasan maulaa husain
har imaam-e-vaqt jin ke ghar kaa KHaadim aur Gulaam
vo imaam-e-do-jahaa.n aaqaa hasan maulaa husain
jin ke naanaa hai.n mohammad mustafaa vaalid 'alii
faatima zahraa hai.n maa.n aaqaa hasan maulaa husain
diin-e-haq ko kar diyaa apne lahuu se surkH-ruu
ho ga.e KHud jaavedaa.n aaqaa hasan maulaa husain
lashkar-e-hurr ko kyaa sairaab KHud pyaase rahe
kaise the vo mehrbaa.n aaqaa hasan maulaa husain
mujh ‘ziyaa-e-ruu-siyah par bhii karam kii ik nazar
aap kaa huu.n mad.h-KHvaa.n aaqaa hasan maulaa husain

- Book : Jalwa-e-Gul Lafz-ba-Lafz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.