murG-e-dil kaa hai nasheman aashiyaa.n shahbaaz kaa

Ishtiyaque Alam Shahbazi
MORE BYIshtiyaque Alam Shahbazi
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت شہباز محمد (بھاگل پور، بہار)
murG-e-dil kaa hai nasheman aashiyaa.n shahbaaz kaa
chho.D kar jaa.e.n kahaa.n ham aastaa.n shahbaaz kaa
sair un kii 'aalam-e-baalaa se bartar hai kahii.n
hai tafarruj-gaah be-shak laa-makaa.n shahbaaz kaa
rauza-e-shahbaaz hai kaisaa jahaa.n me.n pur-bahaar
chaar-baaG-e-kHuld saa hai bostaa.n shahbaaz kaa
farsh maKHmal kaa bichhaa detaa hai farraash-e-bahaar
taa kare gul-gasht us par baaGbaa.n shahbaaz kaa
taa.iraan-e-quds rahte hai.n hamesha naGma-sa.nj
bulbul dil ke liye hai bostaa.n shahbaaz kaa
jab rasuul-e-duusraa KHud un kii taa'riife.n kare.n
phir ko.ii kyaa duusraa ho mad.h-KHvaa.n shahbaaz kaa
sayyad-e-’aalam se nisbat hai jo maulaanaa ko KHaas
is liye KHaadim rahaa shaah-e-jahaa.n shahbaaz kaa
KHizr aa.e the hamesha aur sunaate the KHabar
vaah kyaa rutba hai 'aalam me.n 'ayaa.n shahbaaz kaa
KHaatim-e-mursal se haath aa.ii jo ik a.ngusht
ho gayaa zer-e-nagii.n dono.n jahaa.n shahbaaz kaa
kyuu.n na ho misl-e-'ziyaa' maddaah un kaa bahra-var
farsh se hai ’arsh tak hukm-e-ravaa.n shahbaaz kaa

- Book : Jalwa-e-Gul Lafz-ba-Lafz (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.