na terii ibtidaa yaa rab na terii intihaa yaa rab

hai gum-sum avval-o-aaKHir kaa saaraa falsafa yaa rab
kisii ke jaisaa tuu hai aur na ko.ii tere jaisaa hai
hai tuu sab se alag yaa rab hai tuu sab se judaa yaa rab
azaane.n lamha lamha boltii phirtii hai.n duniyaa me.n
ba.Daa hai tuu ba.Daa hai tuu ba.Daa hai tuu ba.Daa yaa rab
na mujh ko maal kii KHvaahish na armaa.n jaah-o-hashmat kaa
yahii hai aarzuu iimaan par ho KHaatima yaa rab
kisii se mai.n bhalaa KHairaat kyuu.n maa.nguu.n ujaalo.n kii
jabii.n par merii raushan hai tire dar kii ziyaa yaa rab
mai.n KHud ko jab bhii chaahuu.n dekh paauu.n apnii aa.nkho.n se
banaa de mere baatin ko tuu aisaa aa.iina yaa rab
faziilat dii hai mujh ko saarii maKHluuqaat me.n tuune
adaa kaise karuu.n aaKHir mai.n teraa shukriya yaa rab
bahut dushvaar hai terii haqiiqat ko samajh paanaa
ki terii zaat hai aql-o-KHirad se maavaraa yaa rab
nahii.n hai ye agar teraa karam to aur phir kyaa hai
hai 'akbar' kii zabaa.n par jo tirii hamd-o-sanaa yaa rab

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.