chaa.nd ko aap se chaa.ndnii mil ga.ii aur suuraj ko bhii raushnii mil ga.ii

Jauhar Noori
MORE BYJauhar Noori
chaa.nd ko aap se chaa.ndnii mil ga.ii aur suuraj ko bhii raushnii mil ga.ii
aap hii kii badaulat KHudaa kii qasam aadmii ko na.ii zindagii mil ga.ii
ab kahaa.n rah gayaa farq shaah-o-gadaa ab rahaa ko.ii chhoTaa na ko.ii ba.Daa
ye karishma nizaam-e-mohammad kaa hai ki Gulaamo.n ko bhii sarvarii mil ga.ii
kufr-o-zulmat kii chhaa.ii hu.ii thii ghaTaa tiirgii tiirgii har taraf thii ayaa.n
aap tashriif laa.e jo suu.ye jahaa.n zarra zarra ko hai raushnii mil ga.ii
raahat-e-ins-o-jaa.n sarvar-e-do-jahaa.n aap kaa martaba kyaa karuu.n mai.n bayaa.n
naam jab bhii liyaa aap kaa zer-e-lab kis qadar dil ko mere KHushii mil ga.ii
dard me.n ra.nj me.n fikr-o-afkaar me.n be-kasii bebasii kurb-o-aazaar me.n
jab pukaaraa hai 'jauhar' madad ke liye haa.n madad aap kii us gha.Dii mil ga.ii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.